Saturday 18 February 2012

Shadi Mubarak! (now n then)


TEN YEARS AGO

Host: Arey aap? Kab aye aur kaise hai aap? Sab kuch badiya?
Guest: haan ji sab badiya! Shadi badi dhum-dham se mana rahe ho!
H: Haaan bhai, eklauti bitiya hai hamari!
G: Waise ladka jarta kya hai?
H: Dostor hai jee. Aur khud ka aspataal bhi hai.
G: Ye to bahot achhi baat hai.
H: Thik hain, main chalta hu, bahot saare kaam baaki hai!
G: Thik hain bhai, hum samazte hai. Ladki waale hain aap,
H: haan woh to hai. Par bina khaana khaye mat jaana aap! Sab cheezo ka prabandh kia hua hai.
G: Haan lekin aaj hum thodi jaldbaazi mein hain. Phir kabhi bhaaisahab.
H: Jee nahi, khana to aapko padega hi warna hum bura maan jayenge!!
G: Aap samazne ki koshish kariye..
H: Hum kuch nahi jaante, aap khana kha leejiye pehle fir baate karenge!
G: Ab aap itna keh rahe hain to chalo.
H: Yeh hui na baat. Khana thik se kha lena, kuch kam jyaada ho to bata dena.


2012

G: Namaskar bhaisahab.
H: Namaskaar, aap kaun?
G: Jee..aa..woh..ladi ke chachajee hain hu..um.
H: To thik hain. Who aajkal bahot saare anjaan log shaadi me ghuns jaate hain.
G: Sahi keh rahe hai aap.
H: Jee itne dur se aye ho to akele hi aana tha na, puri family leke aye. Bewajah zhanzhat.
G: ha woh humne socha aakhri shaadi hai apne parivaar ki to sab chalte hain..
H: Achha hua pure gaaon ko leke nahi aaye!
G: Ha…Waise ladke ka naam kya hai?
H: Abdul.
G: Kyaa?
H: Itna chowk q gaye aap? Achha ladka hai, laakho me kamata hain.
G: Haan par apni biradari ka nahi hain.
H: To kya hua chacha jee? Aapke din gujar gaye. Waise bhi dono ek dusre ko achhi tarah se jaante hai, pehchcante hain. Live in me the do saal.
G: Yeh kya keh rahe hain aap?
H: Sach hi toh keh rahe hain hum. waise bahot dur se aaye hain aap? Waapis kab jaa rahe ho?
G: wo bas nikal hi rahe the ke socha aapse milta chalu.
H: Achha kiya. Achha kiya jo abhi waapis jaa rahe hai. Khaane ka jara shortage hai na.
G: To chalte hain ab hum.
H: Thik hai, jaiye aap.

Under progress

No comments:

Post a Comment